Featured Post

Shri JINManiprabhSURIji ms. खरतरगच्छाधिपतिश्री जहाज मंदिर मांडवला में विराज रहे है।

Image
पूज्य गुरुदेव गच्छाधिपति आचार्य प्रवर श्री जिनमणिप्रभसूरीश्वरजी म.सा. एवं पूज्य आचार्य श्री जिनमनोज्ञसूरीजी महाराज आदि ठाणा जहाज मंदिर मांडवला में विराज रहे है। आराधना साधना एवं स्वाध्याय सुंदर रूप से गतिमान है। दोपहर में तत्त्वार्थसूत्र की वाचना चल रही है। जिसका फेसबुक पर लाइव प्रसारण एवं यूट्यूब (जहाज मंदिर चेनल) पे वीडियो दी जा रही है । प्रेषक मुकेश प्रजापत फोन- 9825105823

Jain Religion answer

1. Ravan kaun se kshetra me tirthankar banenge??
Ans. Airtavat Kshetra
2. Abhavya markar kaha kaha nhi ja sakte hai full ans dena adura nhi chalega???
Ans. Anutar viman aur moksh
3. 700 chovisi tak kiska naam rahega??
ans. Sri chandra kewali
4. Veer prabhu ko samyaktva ki prapti kaun se chetra me hui thi???
ans. Mahavideh chetra
5.Veer prabhu ke sasan me kitne ascharya hue
ans. 5


6. Sangam dev ko samyaktva kab prapt hua
ans. Nahi hua - wo abhavi tha.
7. Abhay kumar ko kitne prakar ki budhi thi
ans. 4
8. Anarya desh me veer prabhu ke sath aur kaun gaya tha
ans. Goshalak
9. Bal avastha me Rishabdev kaun sa aahar karte they???
ans. Kalpvruksh Ka aahar!!!
10. is avasarpi kal me purus me sabse pehle moksh kaun gaye??
ans. Bahubaliji
11. is avasarpini kal ki pratham sravika an sravak kaun??
ans. Sundari an Bharat charavarty
12. Veer prabhu aur Gautam swami ka kitne bhav ka sath hai???
ans. 3 bhav
13. is avasarpini kal me sabse pehle akalmaut kiski hui???
ans. Sunanda ke pati ki!!!
14. Draupadi ke purva bhav ka naam???
ans. Sukumalika
15. Ravan ko kisne mara??
ans. Lakshman
16.Maya karke kisne 80chovisi tak sansar bada diya???
ans. Lakshmana sadhvi
17. Samyag gyan ka matlab kya he?
ans. sachha gyan
18. Smyag darshan ka matlab kya??
ans. Saravgna vachan ko sach maan na
19. Samyag darshan ki aaradhnaa konse dhaanyase hoti he??
ans. Chaval (Rice)
20. Samyag darshan pad me kitne khamaasamna diye jaate he??
ans. 67
21.Samyktvaki sajjay pratikraman ki rachna kis muni ne ki thi??
ans. Yashovijayji m.s
22. Shrenik maharaja konse muni ke samagam se samkiti bane?
ans. ananthi muni
23. Samyaktvi jiv ko sarvagna prabhu ke kitne vachano pe sbradhha hoti he??
ans. Sbhi
24. Samyktvi jiv paap kre to alp karm bandhte he iska varnan konse sutr me diya gaya he??
ans.Vandita
25. Jinshashan ki prabhaavna kre ese prabhaavak kitni jaat ke he??
ans. 8
26. Kiski ginti samyktva ke baad ki jaati he??
ans. bhav
27. Kiske samyktva ki parixa ke liye ambadshraavak ne rup kiye the??
ans. Sulsa
28. Prabhu mahaavir ki aatma kis bhav me samkiti bani  ??  (name bataye)
ans. Naysar
29. Kiske darshan baar-baar karne se samkit nirmal banta he??
ans. Prabhu
30. Konse sutra me samyktva ki maang ki jati he?
ans. Jay viray
31. Samyktva ke kitne atichaar ka tyaag kiya jata he??
ans. 5
32.Pita Narak mai or putr Dev lok mai??
Ans: SHRENIK RAJA or ABHAY KUMAR
33. Panchendryi mai se bina mrutu kiska jiv ekindri bana?
Ans. Naag me se phool
34. Shree-mant hone k bava jud garib Kon purvar hue
ans. Mamman sheth
35. Saas aur bahu ko 14 swapna aaye - kon ?
Ans.MARUDEVI MATA OR SUMANGLA
36. konsa chakra bina pahiye (wheel) k chalta hai??
ans. Kaal chakra
37. Veer aur Gautam buddha jivan me kitni baar mile ?
ans. sirf 1 baar
38. veer aur gautam buddh jab mile tab unhone kya baat ki thi?
ans. Kuch baat nahi ki, bas ek dusre ko dekha aur apne raaste pe chal gaye.
39. CHAVYAN KALYANAK  KA MATLAB KYA .?
ANS: JIS DIN  TIRTHANKAR BHAGVAN  APNE  PICHLE  JANM KO PURA KAR  , TIRTHANKAR K JANM ME MAATA K GARBH ME AATE HE US DIN KO CHAVYAN KALYANAK KEHTE HE.
40. PURVA 99 VAR DADA  SHATRUNJAY PE AAYE . JAB BHI AATE WOH KON SA DIN HOTA THA.?
ANS: FAGAN SUD 8.
41. TOTAL  KARMA  KITNE .?
ANS: 8 KARMA.
42. 8 KARMA ME KITNE GHATI   N KITNE  AGHATI  KARM .?
ANS: 4 GHATI.4 AGHATI.
4. KON SE KARM K KARAN  JIV  MURKH  HOTA HE .?
ANS: GyANA VARNIY KARM.
44. KON SE KARM K UDAY SE  HUM SABHI KO  JAIN  KUL ME JANM MILA?
ANS:  GOTRA KARM. UNCH GOTRA KARM KI BAJAH SE.
45. vartmaan me mahavideh kshretra me kitne kevali vichran kar rahe hai ?
Ans. 2 caror kevli
46. Konse bhagwan ki deshna khali gai ?
Ans. Mahaveer swami bhagwaan ki
47. priydarshna ka vivah kiske sath hua tha ?
Ans. Jamali k sath
48. Veer prabhu ne total kitne chaturmas kiye ?
Ans. 42 chaturmas
49. jagchintamani ki rachna kha hui ?
Ans. Ashtapad tirth pr
50. rishbh dev bhagwaan k sath kiska janam hua tha ?
Ans. Sumangala ji
51. hathi k oudhe ki upar keval gyan kisko prapt hua tha ?
Ans. Marudevi mata ko
52. Tirthankar ka naam kitni chauvisi tak rahta hai ?
Ans. 3 chauvisi tak
53. neminath bhagwaan k mata pita ka naam ?
Ans. Shiva devi mata, Samundra vijay ji pita
54. Chakravarti ki mata kitne swapn dekhti hai ?
Ans. 14
55. 14 purva ka saar kise kha gaya hai?
Ans. Navkar mantra. Ko
56. kalp sutra ki rachna kisne ki ?
Ans. Acharya   shri  bhadra bahu swami
57. Ratnakar pachchsi ki rachna kha hui thi. ?
Ans. Shaturjay tirth per
58. karm bhumi kitni hai ?
Ans. 15
59. pundrik swami kitne muniyo k sath moksh gaye ?
Ans.  5 caror muni k sath
60. Mahaveer swami bhagwan k kitne shishy the ?
Ans. 14000
61. Jambu kumar ki mata ne kitne swapn dekhe the ?
Ans. 2 swapn
62. Jambu kumar ki kitni raniya thi ?
Ans. 8 raniya
63. abhavya jiv kon se devlok tak ja shakte he.
ans. 9th graveyak
64. mahavideh kshetra me kevalgyani ki sankhya kitni he?
ans. 2 crore.
65.  mahavideh kshetra me sadhu bhagwant ki sankhya kitni he.
ans. 20 arab
66. neminath parbhu ka lachan konsha he ?
ans. shankh
67. kitne rajputra sidhachal pe sanghapati bane the ?
ans. 16000
68. 5 Pandav sidhagiri pe kitne muni ke saath moksha gaye the ?
ans. 20 crore muni
69. shatujay tirth me dhayan karne se kitne palyopam karma naash hote he ?'
ans. 1000 palyopam
70. Gautam swami ke guru ka name kya tha ?
ans. Mahaveer swami
71.  papo se piche firne ki mahan sadhna konsi he ?
ans. pratikraman
72. Ajitnath parbhu giriraj pe kitni baar aaye the ?
ans. 3000 baar
73. Sadhu jivan ka savad konsi aaradhana se mil shakta he ?
ans. Samayik
74. Bhagvan mahaveer savami ne antim (and)  updesh kaha diya tha
ans. Pavapuri
75. Is avsharpani me sab se pahle moksha kon gaye the ?
ans. Marudeva mata
76. Simandhar swami ke Mata ka name kya he ?
ans. Satyakima
77. kiski bhakti karnese parbhu ki aagnya ka palan hota he ?
ans.Sadharmik
78. Kumbh lanchan konse parbhu ka lanchan he ?
ans. Mallinath
79. 500 grantha ke rachiyata kon he ?
ans. Umaswatiji maharaj
80. Shnkheshwar pashvnath ki patima kisne banai ?
ans. Ashadhi shravak
81. 16 me thithnkar parbhu ka name bataiye ?
ans. Shantinathji
82. Kumarpal raja ke guru kon the?
ans. Hemchandracharya ji m.s.
83. Choti age me kisane ne "dixa" li thi ?
ans. Vajra swami
84. konse parbhu ki mata ka name sivadevi tha ?
ans. Neminathji
85. salibhadra rahte the wo nagri ka name kya tha ?
ans. Rajgruhi
86. maharaj shaheb ko sata puch ne liye konsa sutra bol te he ?
ans. Icchakar
87. Satrunjay ki jada se jada choudai kitni hoti he ?
ans. 80 yojan
88. Konsa tirth shashwat kaha jata he
ans. Palitana
89. Vartman chovisi ke sabse jyada kalyanak kaha par hue?
ans. Sammet shikhar
90. Taranga tirth ke mulnayak konse tirthankar hai?
ans. Ajitnath
91. Gujarat me konsa tirth kalyanak bhumi hai?
ans.Girnar
92. Ranakpur tirth ke jinalay ka nirman kisne karvaya tha?
ans. dhana porvar
93. Tirthankar parmatma ka janma abhishek  devta kaha par karte hai?
Ans.  Meruparvat
94. Thirpur tirth mulnayak Shree Mahaveer swami ki pratima kis raja ne bharvai thi?
ans. Kumarpal Maharaja
95. Shatrunjay tirth ka pahela 6ripalit sangh kis ne nikala tha?
ans. Bharat chakravarti
96. Girnar tirth ki adhisthayaka devi kon hai?
ans. Ambika devi
97. Hastrgiri, Kulpakji, Kesariyaji & Mohankheda tirth me samanta kya hai?
ans. Mulnayak Aadinath ji he.
98. Ashtapadji tirth ki raksha ke liye kinhone apna balidan diya tha?
Ans.  Sagar chakri ke 60000 putro ne
99. Kalyan mandir stotra ki rachna kis tirth par hui?
ans. ujjain
100. Kis tirth ko Shatrunjay tirth ki Panchvi(5th) tunk kaha jata hai?
ans. Girnar
101. Champapuri tirth ke mulnayak konse parmatma hai?
Ans.  Shree Vasupujya Swami
102. Kis tirth me mulnayak Shree Mahaveer Swami ki pratimaji red  color ki hai?
Ans.  Hathundi tirth
103. Lagna mandap me kevalgyan kise hua ? 
ans. Gunsagar
104. Shalaka purush kitne hote he ?
ans. 63
105. 10 saal ki aayu me acharya pad paane wale kon ?
ans. Padlipt suriji
106. 5 din kisne pure Gujarat ko khana khilaya ?
ans. Jhanjhan shah
107. veer prabhu ne 23 ve bhav me kitne saal sanyam pala ?
ans. 1cr
108. veer prabhu ne 25 ve bhav me kitne maskshaman kiye ?
ans. 1180645
109. rote rote kevalgyan kise huaa ?
ans. Gautam swami
110. Dhanna shalibhadra ki janmbhumi ?
ans. rajgruhi
111. 4tha ara hamesha rahata hai ?
ans.Mahavideh
112. Nami - vinami kiske putra the ?
ans. Aadinathji
113. Kumarpal ki mata ka naam ?
ans. Kashmiradevi
114. Mammansheth ki paap ke karan narak me gaye ?
ans. Parigrah
115. Pani bina mere pran gaye - me kon ?
ans. Krishna
116.  Tirtankar ke aatma hote huye bhi paap ki prashansa ki aur narak ki prapti ki
ans. Shrenik raja
117.  Devlok me kitne aur konse aachar hote hai
ans. 2 - Gyanachar and Darshnachar
118. Bharatraja ne diksha kitne logo k saath li ?
ans. 10000
119. Patni ke vachan se sadhu jivan me sthir kaun huaa ?
ans. bhavdev
120. Juthe muh kyu nahi bolna chahiye - kon se karm ka bandhan hota he ?
ans.  Gyan ka apman hota he - Gyanavarniy karm ka bandhan hota he
121. Parshwnath ji ke mata pita ka naame batao
ans. Vamadevi mata, Ashwasen pita
123. Parshwanath ji ke kitne bhav hue ?
ans. 10
124. Bhav ki ginti kab se shuru hoti he
ans. Samkit Prapt hone ke baad se
125. Parshwanath ji ka pehla bhav kon sa tha
ans. Marubhuti ka
126. Parshwanath ji ne kitne logo ke sath diksha li thi ?
ans. 300 raj purusho ke sath
127. Parshwanath ji ki aayu kitne saal ki thi
ans. 100 saal
128. Parshwanath ji ke kitne gandhar the
ans. 8
129. Parshwanath ji  1st gandhar ka naam kya he
ans. Shubhdatt
130.  Parshwanath ji ka nirvan kab hua
ans. Shravan sud 8
131. Siddha bhagwan ke kitne gun hote he
ans. 8
132. Gyan kitne hote he aur kon se
ans.  5 - matigyan, shrut gyan, avadhi gyan, Manah paryav gyan, Keval gyan
133. Avasarpini kaal kise kehte he
ans. Jis kaal me aayu,  jivo ki shakti,  avgaahna, Prakrutik samapnnta lagatar kam hoti rehti he use avsarpini kaal kehte he.
134. Tirthankar parmatma kitne mushti loch karti he ?
ans.  5 mushti
135. aadinath ji ne kitne mushti loch kiya tha ?
ans. 4 mushti
136. Mahaveer swami ke 5 naam batao
ans. Mahaveer, vardhman,  sanmati, Shraman, Gyatputra
137.  Parmatma ko diksha ki vinanti karne kon aate he
ans. 9 Lokantik dev
138.  Diksha ke samay parmatma ko kon sa gyan prapt hota he
ans. Manah Paryav gyan
139.  tirthankar parmatma deshna dete samay pehle words kon se bolte he
ans. bho bho bhavya
140. shastro me manav bhav kitne drashtanto (example) se durlabh bataya gaya he
ans. 10
141. Bharat chakravarti k kitne putra aur kitne potro ne prabhu k samavasaran me deexa li ?
Ans. 500 putra & 700 potro
142. Bharat raja ko kaha ka raja banaya gaya tha ?
Ans. Ayodhya ka
143. Sundari ne apne roop saundarya ko nasht karne k liye kya kiya tha ?
Ans. 60000 varsh tak Aayambil tap
144. Adinath prabhu kitni baar shatrunjay padhare ?
Ans. 99 purva baar
145. Bharat - Bahubali k beech 5 prakar k yudha me kis kis ki haar hui ?
Ans. Sabhi me bharat ki haar hui
146. Adinath prabhu ka nirvaan kaha hua tha  ?
Ans. Ashtapad
147. Haribhadrasuriji ne kitne granth ki rachna ki thi
ans. 1444
148. Hemchandracharya ji ne kitne shlok ki rachna ki thi
ans. 3 crore 50 lakh
149. Taranga tirth kisne banwaya
ans. Kumarpal
150. raja bhoj roj kitne sonaiya ka daan dete the
ans. 1,25,000
151.  vikram raja roj kitne sonaiya ka daan karte the
ans. 1,25,00,000
152. 24 tirthankar ke total gandhar kitne hue
ans. 1452
153. shrenik raja puniya shravak ke pas kya maangne gaye the
ans. 1 samayik ka fal
154. mahaveer swami ke kitne gandhar hue
ans. 11
155. 14 purv ka saar kya he
ans. navkar maha mantra
156. maun ekadashi (Maun 11) ki aaradhna kis sheth ni ki thi
ans. Suvrat sheth
157. Champa nagri ka bandh dwar kis sati ne khola tha
ans. Subhadra sati
158. Krushna ne kitne sadhu bhagwant ko vandan kiya tha
ans. 18,000
159.  24 tirthankar me se kisne pratham parna khir se kiya tha
ans. 2, se 23
160. 2 se 23 tirthankar ke samay me utkrusht (best) tap kitne mahine ka tha
ans. 8 mahine
161. Tirthankar bhagwant kon se aare me janm lete he
ans. 3rd and 4th
162. Pratikraman me khade reh ke kriya karne se kya labh milta he
ans. 1 aayambil ka fal milta he
163. khane ke baad thaali dho ke pine se kitne aaymbil ka fal milta he
ans. 1 aayambil
164. mandir me pratima ji ko saaf karne se kitne upvas ka fal milta he
ans. 100 saal ke upvas ka
165. pratima ji pe chandan aadi vilepan karne se kitne upvas ka fal milta he
ans. 1000 saal ke upvas ka
166. pratima ji ko fulo ka haar chadhane se kitne upvas ka fal milta he
ans. 1 lakh varsh upvas ka fal milta he
167. jin mandir jane ki bhavna dharne se kitne upvas ka fal milta he
ans. 1 upvas
168. Parmatma ki vidhi sahit puja karne se kitne upvas ka fal milta he
ans. 1000 varsh upvas ka
169.  Pratima ji ko 3 pradakshina dene se kitne upvas ka fal milta he
ans. 100 varsh ke upvas ka
170. Sahi man se logass ka kausagg karne se kitne saal ka devlok ka aayushya mil shakta he
ans. 6135210 palyopam
171.  Jin mandir pe dwaja chadhane se kitna labh milta he
ans. dharti pe vidhyaman tamam tirth ki yaatra karne jitna labh milta he
171.  Muhpatti kisi ko dene se kitna labh milta he
ans. 5500 garbhavati gayo ko abhaydaan dene jitna punya milta he
172. ek charvala kisi ko dene se kitna labh milta he
ans. Pratima ji ho ese 25052 mandir ke rangmandap banwaye utna punya milta he
173. ek kaamli dene se kitna fal milta he
ans. 1 crore panjrapole banwane se ya maskshaman karwane se jitna fal milta he utna ek kaamli dene se milta he.
174.  kisi ko pratikraman ka updesh dene se kitna labh milta he.
ans. Gokul ki 10,000 gayo me 1-1 gay ko 10,000 baar abhaydan dene se jitna punya milta he utna.
175. Sangh aur guru bhagwant ko vandan karne se kitna punya milta he
ans. 88,000 daanshala  se jitna punya milta he utna.
176. Bhavanao ke kitne prakar hote he
ans. 12
177. anitya bhavna se kisko vairagya hua ?
ans. Bharat chakravarti
178. asharan bhavna se kisko vairagya hua ?
ans. Anathi muni
179. sansar bhavna se kisko vairagya hua ?
ans. Mallinath ji ke purva bhav ke 6 mitra
180. ekatva bhavna se kisko vairagya hua ?
ans. Nami rajarshi
181.  anyatva bhavna se kisko vairagya hua ?
ans. Mruga putra
182. ashushi bhavna se kisko vairagya hua ?
ans. sanatkumar chakravarti
183. Aashrav bhavna se kisko vairagya hua ?
ans. samudrapal muni
184. Samvar bhavna se kisko vairagya hua ?
ans.Harikeshi muni
185. Nirajar bhavna se kisko vairagya hua ?
ans.arjunmali
186. Lokswaroop bhavna se kisko vairagya hua ?
ans.Shiv Rajarshi
187. Durlabh bodhi bhavna se kisko vairagya hua ?
ans. Aadinath ji ke 99 putra
188. Dharm svakhyatv bhavna se kisko vairagya hua ?
ans. Dharmruchi Angaar
189. vartmaan chovisi ke kon se tirthankar ko hindu bhi apna bhagwan mante he
ans. Aadinath ji
190. Shripalraja ke ras ki rachana kaha & kaun si sal me hui ?
A. Rander, Savant 1738
191. Shripal ka charitra kisne kaha ?
A. Shri Gautam swami
192. Shripal ko siddhchakra ki aaradhana karne ko kisne kaha ?
A. Shri Munichandrasuriji
193. kitne  aymbil se shripal raja ka rog dur hua ?
A. 9
194. Shripalraja ki mata ka naam ________ hai ?
A. Shri kamalprabha
195. Shripalraja ke ras me pahale khand me ______ dhal hai ?
A.11 dhal
196. Shripale ______ seth ke 500 vahan ko taraya ?
A. Dhaval
197. Shripalraja  first kaun se nagri ke raja bane ?
A. Champapuri
198. Vidhyadhre shripal ko kitni vidhya  di ?
A.2 vidhya
199. Shri Siddhchakra ji ke sevak dev _____ hai ?
A. Vimleshwar dev
200. Vina vadan se shripalraja ______ paranya ( merrage ) ?
A. Gunsundari
201. Dhavalseth marne ke bad kaha pe utapan hue ?
A. 7 th narak me
202. Shripalraja ka purv bhav me  _____ naam tha ?
A. Shrikant
203. ______ hi  shri siddchakra ke gun kaha sakte hai ?
A. Kevalgyani
204. Mayna sundari e shripal ke virah me _____ niyam liye ?
A.4
205. Bhavsamudra me se _____ prabhav se par utara jata hai ?
A. Navpad
206. Samudra me padne se shripal ki ____ ratri dukh me pasar hue ?
A.1 ratri
207. Thard dhal me ras karta ______ tyag karane ko kaheta hai ?
A. Ahankar
208. Shripal ki hajari me shripal ka charitra _____ muni e sambhalavyu ?
A. Vidhyacharan
209. Bhavbharam ka mukhya ( main ) karan _____ hai ?
A. Moh
210. Manav bhav _____ drashatant dulabh hai ?
A. 10
211. Ajitsen raja ke putra ka  naam ______ tha ?
A. Gajgati
212. Shripalraja ____ bhav me moksh me jayenge ?
A. 9 bhav me
213. Shripalraja mrutyu ke baad _____ devlok me gaye ?
A.9 devlok me
214. Maynasundari ki mata ka naam _____ hai.?
A. Roopsundari
215. Samudra me padte waqt shripale  ______ ka dhyan kiya ?
A. Navpad
216. _____ nadi me swar ka pravesh hue tub shripale prayan kiya ?
A. Chandra
217. Navpad ki aaradhana _____ bhagvan ke samay me prasiddh hue hai ?
A. Shri Munisuvrat swami
218.    JAGAT KA SANCHALAN KON KARTA HE.?
ANS:   KARM SATTA.
219.  JAB TAK  KARM AATMA SE CHIPKA NAHI HE TAB TAK USE KYA KEHTE HE.?
ANS: KARMAN VAGARNA  (KARMA RAJKAN).
220.  KON SE KARM K KARAN JIV  ANDHA- BLIND  HOTA HE .?
ANS: DARSHNA VARNIY KARM.
221. KON SE KARM K UDAY SE  JIV SANSAR ME DIN K 20 HOURS DETA HE BUT DHARM ME 20 MIN NAHI DE SAKTA .?
ANS: MOHNIY KARM. MOHNIY KARM KA TIVRA UDAY .
222. AADISHWAR DADA K PARIVAR ME KITNE SHRAVAK THE .?
ANS: 300 000.
223. AADISHWAR DADA K PARIVAR ME KITNI SHRAVIKA THI .?
ANS: 554000.
224. Jambu kumar ne kitno k sath diksha li thi ?
Ans. 526 k sath
225. Aadhyatam kalp drum sutra ki rachna kisne ki thi ?
Ans. - aacharya shri muni sundar surishwar ji m.sa. ne
226. AADINATH DADA KA CHAVYAN KALYANA KA DIN .?
ANS: JETH VAD CHOTH.
227. KON SE TIRTHANKAR  TAK AADISHWAR DADA KA VANSH THA.?
ANS: 18 ME ARNATH BHAGVAN TAK  AADISHWAR DADA KA VANSH THA.
228. KIS KARM KI BAJAH SE  JIV KO KAAM KARNE PER BHI LABH NAHI MILTA?
ANS: ANTRAY KARM.
229. Tirthankar kisse kehte hy ? Define karo
ans. tirth ki sthapna karne wale.
230. Pach pad me se neend kisse nhi aati ?
ans. Arihant n sidh
231. Dharma ka mool kya hy ?
Ans. vinay
232. Paap k kitney steps hey ? Konse konse  ?
Ans. 4 step he.
Atiktam, vyatikram, atichar and aanachar.
233. Rushabh dev ki kitney patni thi ? Nam ?
ans. sunanda sumangla
234. Rushbhdev ko kitney putra or putri thi ?
ans. 100 and 2
235. Rushabh dev diksha k bad kitney varsh tak vastradhari rahe ?
ans. 1
236. Tirthankar jab diksha lete hey tub Indra unke left kandhe per vastra sthapit krte hey usse kiya kahete hey ??
ans. devdusya
237. Konse tap ki aaradhna k Samay Rushabh dev ko keval gyan n keval darshan prapt hua ???
Ans. Choviharo athham tap.
238.  Rushabh dev ka nirvan konse nakshtra me hua tha ???
abs, abhijeet
239. Mahaveer prabhu jab gurukul me gaye the tub veer prabhu k pass kisne vyakaran sikha ???
ans. indra
240. Bhagvan Mahaveer ne abhigrah k Sade 12 saal me kitney upvaas kiye ???
ans. 4166
241. Bhagvan Mahaveer ki pratham deshna ki parishad ko ________ parishad kaha gya hey.
ans. Abhavi parishad
242. Gautamswami ka dusra nam ??
ans. indrabhuti
243. Veer prabhu k moksh gaman k bad gautamswami or sudharmaswami kitney versh baad moksh Gye ??
Ans. Gautamswami - 10 yrs n sudharmaswami - 20 yrs .
244. tirthankar k dixa vruksh konsa he??
ans. Ashok
245. Abhinandan swami ka kewalgyan vruksh konsa he??
ans. Priyaal vrux
246. sumatinath prabhu ke yax ka Nam kya he???
Ans. Tumbru yax
247. Anantnath prabhu ki moxtithi
ans. Chaitr sud 5
248. vimalnath prabhu k Mata pita k Nam kya he??
ans. Krutvvarma n shyama mata
249. vasupujya swami ka chyavan kalyank tithi???
ans. Jeth sud 9
250. Dharmnath prbhu ke yaxini ka Nam???
ans. Kandarpadevi shashandevi
251. Aranath prbhu k janm n dixa tithi ???
ans. Magshar sud 10 and Magshar sud 11
252. kis bhagvan k janm, dixa n kevalgyan 1 hi tithi he and kon si tithi he ?
Ans. mallinath magsar sud 11
253. Munisuvart swami ka varn konsa he???
ans. Shyam
254. Mahaveer swami ka nirvan kaha hua??
ans. Pawapuri
255. Shitalnath prabhu ki moksh tithi???
ans. Chaitr vad  2
256. Parsvanath prabhu ki nirvan tithi ???
ans. sravan sudh 8
257. mahaveer swami k chacha ka Nam??
ans. Suparshva
258. siddh kise kehte hai?
ans. Jisne 8 karma khapaye ho
259. siddh bhagwan ke jaghanya aavagahna kitne?
ans. 1 hath 8 ungal
260. siddh bhagwan ke madhyam aavagahna kitne hai?
ans. 4 hath 16 ungal
261. siddh bhagwant ke uthkrust  aavagahna  kitne hai ?
ans. 333 dhanush 32 ungal.
262. koun se gati  ka jeev siddh ban sakta hai?
ans. manushya gati
263. kam se kam kitne aavgahna wale koun moksh gaye?
ans. 2 hath ke aavgahna wale kurma putra.
264. Bhagwan Rushabh dev ke sath 1 samay mai kitne siddh huye ?
ans. 108
265. ek samay mai  purushling  wale kitne siddh ho sakte hai?
ans. 108
266. ek samay mai  stri  ( ladies ) ling  wale kitne siddh ho sakte hai?
ans. 20
267. ek samay mai   napunsak  ling  wale kitne siddh ho sakte hai?
ans. 10
268. sarvarth siddh viman se siddh shila kitne dur hai?
ans. 12 yojan
269. sarvarth siddh viman ke devo ko kitna janam maran aavshesh rahthee hai?
ans. 1 bhav .
270. kounse sthavar se aakar jeev manushya bankar moksh ja sakta hai?
ans. pruthvikay, apkay & vanaspathikay
271. ek jeev siddh banta hai tab kya hotha hai?
ans. avyavharik rasi ka ek jeev vyaharik rasi mai aata hai...( nigodh se bahar aata hai)
272. hum anadi nigodh se bahar kab aaye?
ans. jab ek aatma moksh mai gai hogi tab.
273. humare upar kiska upkar hai?
ans. siddh bhagwan ka
274. 14 prakar ke siddh kounse hothe hai?
ans. 3 lok ( udhva, adho, madhyalok ) 3 vedh ( stri ,purush, napunsak ) 3 ling ( anya, gruhast, swaling  ) 3 avagaahna ( jaghanya, madhyam, uthkurust) samudra jal tatha shesh jal se is prakar 14 prakar se aatma ye  siddh hothe hai.
275. siddh bhagwan ko kounsa gyan hotha hai?
ans. keval gyan.
276. siddh bhagwan kounse lok mai rahthe hai?
ans. udhvalok mai.
277. kitne narki se nikale huye jeev moksh nahi ja sakte?
ans. 3 narki ( 5,6,7 vi )
278. Siddh shila ke kitne naam hai?
ans. 12 naam hai
279. siddh shila ke 12 naam koun - kounse hai ?
ans. 1. Irshat
2.  Irshat pragbhar
3.  Tanu
4.  Tanutanu ( tanutari )
5.  Siddh
6.  Siddhaalay
7.  Mukth
8.  Mukhthalay
9.  Lokagrah
10. Lokagrah stupika
11. Lokagrah  pratibodhna
12. Sarvpranbuth jeev satv sukhavah.
Venuj jain surat
280. siddhshila kitne yojan lambi he
ans. 45 lakh yojan
281. kounse padh wale jeev vihar nahi karte?
ans. siddh padh wale
282. Aakhe nahi hai kintu dekhte hai , koun?
ans. Siddh bhagwan
283. abhi kaha se jeev siddh ban sakte hai?
ans. Mahavideh shetra se
284. Siddh bhagwan ke pass kounse dur bin hothe hai?
ans. Keval gyan &  keval darshan.
285. tirth sthapna se purv moksh koun gaye?
ans. Mata Marudevi.
286. Kya siddh bhagwan siddh shila par rahthee hai?
ans. Nahi -  USSE 1 Yojan Upar 6th bhaag (333 dhanush) main rehte hain
287. Tatva kitne he aur kon se ?
ans. Tatva 9 he :
1) JEEV TATVA
2) AJEEV TATVA
3) PUNYA TATVA
4) PAAP TATVA
5) AASHRAV TATVA
6) SAMVAR TATVA
7) NIRJARA TATVA
8) BANDH TATVA
9) MOKSHA TATVA.

Comments

Popular posts from this blog

AYRIYA LUNAVAT GOTRA HISTORY आयरिया/लूणावत गोत्र का इतिहास

RANKA VANKA SETH SETHIYA रांका/वांका/सेठ/सेठिया/काला/गोरा/दक गोत्र का इतिहास

RAKHECHA PUGLIYA GOTRA HISTORY राखेचा/पुगलिया गोत्र का इतिहास